Showing posts with label Hindi. Show all posts
Showing posts with label Hindi. Show all posts

Thursday, May 31, 2012

Kash kabhi aisa hota



Kash  kabhi aisa hota...
Koi awaaz aati hoti,Is dil ke tutne ki,
Dil ke ansu bhi dikhte un ankho ko.....
Fir ye khayal aaya,
Jo sun na saka meri awaaz ,
Wo dil ki awaaz bhala kya sunta.
Jise kader nahi in ansuo ki
Wo dil ke ansuo ko bhala kya samajta...

Monday, May 21, 2012

Afsos hota hai



aaj dil roya hai fir,
unki baatein sun kar
kabhi jis awaaz ko sunne k liye me betaab rehti ti,
aaj ussi awaaz ko sun kar asunni kar deti hun..
na jane ye kaun sa mod hai ..
jis baat par kabhi naaz hota ta..
aaj usi baat pe afsos hota hai....

Sunday, May 20, 2012

Ek gam...


zindagi k gam se sataye hue hain,
jis pe bhi yakeen kiya ,
wahi ruswa kiya hai,
dil me jiski yaad basi hui hai,
wahi use mitane me laga hua hai,
kya aas lagaun unse ab me,
jab wo har aas ko thod chuke hain.

Thursday, May 17, 2012

NA JANE KYUN........




Na  jane kyun  karti hun tumse pyaar,
Jab milna  sirf gam hi hai,
Na jane kyun  karti hun tumhara intezaar,
Jab milna mayusi hi hai.
 
Na jane kyun karti hun  tum par aitbaar,
Jab milna dhoka hi hai.
Na jane kyun karti hun tumse waffa,
Jab milna bewaffai hi hai.
 
Na jane kyun chahti hun tumhe pana,
Jab milna mumkin hi nahi,
Na jane kyun tumhe chahti hun bhulna,
Jab bhulna mumkin hi nahi,
 
Na jane kyun lagaya is dil ko tumse,
Jab tutna is dil ko hi hai.
Na jane kyun  tum meri zindagi ho,
Jab tumse milna kuch bhi nahi.
 
Na jane kyun yaad karta hai dil tumhe,
Jab meri yaad tumhe aati hi nahi.
Na jane kyun ye dil rota hai ,
Jab tum use samjhte hi nahi.
 
Na jane kyun  umeed ki tumse,
Jab milna tanhayee hi hai.
Na jane kyun zindagi udaas  hai,
Jab khushiyan hazaro hai........
 
Na jane kyun ....Na jane kyun.....Na jane kyun

Tuesday, May 1, 2012

Ek chahat


Ye Dil Bhi Ajib Hai,
Gairo Ko Apna Banana Chahta Hai.
Jo Rishta Naamumkin Saa Hai,
Use Hi Apnana Chahta Hai,
Koi Hota Hai Jo Yaad Rehkar Bhi Yaad Nahi Karta
Aur Ek Hum Hai Jo Roz Yaad Karke Bhi Use Bhulana Chahta Hai.

Thursday, March 8, 2012

Dil k Armaan !!!



Dil me ek lagi hai,
ek arma saza hai,
ek baat humme kehni hai,
ek baat tumhe sunni hai,
dil ki baat aati hai labo pe dua bankar,
par reh jati hai ek khamoshi bankar,
aaj kyun na thodu in khamoshiyon ko,
aaj keh hi du ki kya ho tum mere liye,
keh kar dil ki baat ,
karlu tumhe aur bhi karib.
Na hone du tumhe apne se dur,
karlu kaid apne is chote se dil me!!
                                                                                                  
                                                                                              pinky prz

Wednesday, December 28, 2011

DIL SE AAP TAK !!!




Dil me ek jagah thi,
Us jagah me ek kami thi,
Us kami me kuch aapnapan tha,
Us apnepan me aap the,
Aur aap me hum the,
Hum me humara pyaar tha,
Humare pyaar me  ,
Ek vishwas tha.
Aur use vishwas me ,
Humara rishta tha,hai aur humesha rahega!!


                                                                              PINKY PRZ

Dil-e-nadan



Dil-e- nadan bata meri khata kya hai!
Dil ne jise chaha-
Wo humse khafa kyun hai,
Dil ne jise apna kaha-
Wo begana kyun hai,
Dil ne jise bohat chaha tute kar-
Wo bewaffa kyun hai!!
                                                                    
                                                                             PINKYPRZ

Monday, December 19, 2011

Dastaan dil ki!!




 
Socha kai bar ki hum  itna jhagadte kyun hai,
kai baar khayal aaya ki bhul jau tumhe,
thod du sare rishte tumse,
socha ki jise kader nahi mere pyar ki
uska kyun karti hun me intezar,
kyun sochati hun ki ,
kabhi na kabhi use hoga mere pyaar ka ehsaaas..

 jab bhi chati hu apne rishte ko ek aur mauka dena
tabi tum karte kuch aisi baat,
jis se na chahkar bhi  karna padta hai
Is dil ko mazbur
ki bhul jaye wo tumhe.....

par fir dil se ek awaz aati hai
kaise bhula sakogi use jo tumhare saanso me basata hai,
jis ka naam lekar dhadakta hai tumhara dil,
jise tum jitna bhulna chahti ho,
wo tumhe utna hi yaad aata hai.!!

Is liye maan lo meri baat 
na karo kabhi kisi se pyaar!! 

kyun ki

Pyaar karna jitna asaan hai usse bhulna utna hi mushkil hota hai

                                
                                                                  Pinky

DIL THOD DIYA TERE PYAAR NE.



Khene ke liye hum do jism ek jaan hai hum,
Koi kya kare agar jaan hi jaan pe shaq kare'
Jis waffa se humne ,
Apna sub kuch  unhe maan liya,
Aadat ho gayi unhe humare har ruh pe sawal karne ki!!!

                                                       PINKY PRZ

PYAAR HAI YA SAAZA !!!



Chah kar bhi bhul nahi pa rahi tumhe,
Jitna bhulne ki koshish karti hun ,
Utna hi tum mujhe yaad aate ho ,
Shayad yahi saaza hai meri,
Tumhe chahne ki
Bhale aap humme bhul jaye par,
Hum aapko na bhul payenge...........

                                                                                      PINKY PRZ

Monday, December 12, 2011

Aisa kyun hota hai?







Jab bhi hum unse naraz hote hain ,
Intezaar hota hai unke ek ishare ki 
Jab bhi hum baat nahi karna chahte
Ek baar unki awaaz sun ne ko dil chahta hai
Aisa kyun hota?

Jab bhi unki nazare humme dekhti hain
Hum khud se hi sharma jate hai
Jab bhi wo humse baatein karte hain
Hum bus unhe dekhte rehte hain
Aisa kyun hota hai?

Jab bhi unke nazre kisi ko dhundti hain
Humme aisa kyun lagta hai ,jese hum hi hai wo
Jab bhi wo muskurate hain
Hum apne sare gum bhul jate hain
Aisa kyun hota hai?


Jab bhi wo humare kareeb aate hain 
hum khud ko chupa lete hain
Jab bhi wo humme chute hain
hum khud ko rok hi nahi pate ....
 Aisa kyun hata hai?

Jab bhi  hum apne aap ko shishe me dekhte hain
Humme sirf wahi nazar aate hain
Jab bhi hum aapse dur jana chahte hain
Hum aapke utne hi kareeb aa jate hain
 Aisa kyun hota hai?

Ab tho bus yahi dua hai ,ye jo  bhi hai  bohat haseen hain!!
Ek khwaab hai jo ye dil mehsoos kar raha hain apke pyaar me!!

Ek dua iss chote se dil ne bhi mangi hai rab se ki ab aap se hum yun hi pyaar karte rahe , Aur kabhi juda na ho!!!
                                                     
                                                  <3 (2 MY LOVE) <3                                                  
                                      

Thursday, August 11, 2011

SRIF TUM



Dil ki gehrai me jo naam hai,
Wo tum hi ho.
Har lamha, har paal jise hum yaad karte hai ,
Wo tum hi ho.
Bhulkar bhi bhul na paye-
Wo pyaar tum hi ho
Haan ! wo anjana pyaar tum hi ho--
Jise hum dillo jaan se pyaar karte hain...
Aur yahi koshish hai hamesha...
ki hum aapse yun hi pyaar karte rahein

Sunday, August 7, 2011

TERI YAAD ME


Har paal yaad aate ho tum,
Har lamha satate ho tum,
Kabhi hawa ban ke,
Kabhi yadein ban ke,
Rooz aate ho tum mere khayalo me--
Need se bhi jaga dete ho,
kabhi garmi me thandi hawa ka jhoka ban ke-
sukun de jate ho.
Wo pyaar hi hai tumhara,
jo hume itni dur reh ke b jene ki wajah deta hai.