Showing posts with label BROKEN HEART. Show all posts
Showing posts with label BROKEN HEART. Show all posts

Friday, July 6, 2012

Walking on a Empty Street























Walking on the empty street,
Walking with an empty mind,
Met a person who was very kind,
Felt like i reached my destination,
Because he was my admiration.
Everyday became a source of inspiration
On a fine day somebody came,
But he is not to be blame
As i never explained him about my love.
It was from that day,
I lost him in every way,
Alas! he was gone,
leaving me all alone,
And i standing alone on my feet,
In the lonely empty street.

Thursday, May 31, 2012

Kash kabhi aisa hota



Kash  kabhi aisa hota...
Koi awaaz aati hoti,Is dil ke tutne ki,
Dil ke ansu bhi dikhte un ankho ko.....
Fir ye khayal aaya,
Jo sun na saka meri awaaz ,
Wo dil ki awaaz bhala kya sunta.
Jise kader nahi in ansuo ki
Wo dil ke ansuo ko bhala kya samajta...

Monday, May 21, 2012

Afsos hota hai



aaj dil roya hai fir,
unki baatein sun kar
kabhi jis awaaz ko sunne k liye me betaab rehti ti,
aaj ussi awaaz ko sun kar asunni kar deti hun..
na jane ye kaun sa mod hai ..
jis baat par kabhi naaz hota ta..
aaj usi baat pe afsos hota hai....

Sunday, May 20, 2012

Ek gam...


zindagi k gam se sataye hue hain,
jis pe bhi yakeen kiya ,
wahi ruswa kiya hai,
dil me jiski yaad basi hui hai,
wahi use mitane me laga hua hai,
kya aas lagaun unse ab me,
jab wo har aas ko thod chuke hain.

Thursday, May 17, 2012

NA JANE KYUN........




Na  jane kyun  karti hun tumse pyaar,
Jab milna  sirf gam hi hai,
Na jane kyun  karti hun tumhara intezaar,
Jab milna mayusi hi hai.
 
Na jane kyun karti hun  tum par aitbaar,
Jab milna dhoka hi hai.
Na jane kyun karti hun tumse waffa,
Jab milna bewaffai hi hai.
 
Na jane kyun chahti hun tumhe pana,
Jab milna mumkin hi nahi,
Na jane kyun tumhe chahti hun bhulna,
Jab bhulna mumkin hi nahi,
 
Na jane kyun lagaya is dil ko tumse,
Jab tutna is dil ko hi hai.
Na jane kyun  tum meri zindagi ho,
Jab tumse milna kuch bhi nahi.
 
Na jane kyun yaad karta hai dil tumhe,
Jab meri yaad tumhe aati hi nahi.
Na jane kyun ye dil rota hai ,
Jab tum use samjhte hi nahi.
 
Na jane kyun  umeed ki tumse,
Jab milna tanhayee hi hai.
Na jane kyun zindagi udaas  hai,
Jab khushiyan hazaro hai........
 
Na jane kyun ....Na jane kyun.....Na jane kyun

Tuesday, May 15, 2012

Acha lagta hai


Uske bin chup-chup rehna aacha lagta hai.
Khamoshi se ek dard ko sehna aacha lagta hai.
Jis hasti ki yaad mein aansun baraste hai.
samne uske kuch na kehna aacha lagta hai.

Milkar usse bichad na jaye darte rehte hai,
Isliye bas dur hi rehna aacha lagta hai.
Jee chahe apni sari khushiyan laakar usko de du,
Uske pyaar mein sab kuch khona aacha lagta hai.

Uska milna na milna kismat ki baat hai,
Pal pal uski yaad mein rona aacha lagta hai.
Uske bina sari khushiyan ajeeb lagti hai,
Ro ro kar uski yaad mein sona aacha lagta hai.

Humse mohbbaton ki numaish na ho saki
Bas itna jante hai,
USKO chahte rehna aacha lagta hai.....

Wednesday, December 28, 2011

Dil-e-nadan



Dil-e- nadan bata meri khata kya hai!
Dil ne jise chaha-
Wo humse khafa kyun hai,
Dil ne jise apna kaha-
Wo begana kyun hai,
Dil ne jise bohat chaha tute kar-
Wo bewaffa kyun hai!!
                                                                    
                                                                             PINKYPRZ

Monday, December 19, 2011

Dastaan dil ki!!




 
Socha kai bar ki hum  itna jhagadte kyun hai,
kai baar khayal aaya ki bhul jau tumhe,
thod du sare rishte tumse,
socha ki jise kader nahi mere pyar ki
uska kyun karti hun me intezar,
kyun sochati hun ki ,
kabhi na kabhi use hoga mere pyaar ka ehsaaas..

 jab bhi chati hu apne rishte ko ek aur mauka dena
tabi tum karte kuch aisi baat,
jis se na chahkar bhi  karna padta hai
Is dil ko mazbur
ki bhul jaye wo tumhe.....

par fir dil se ek awaz aati hai
kaise bhula sakogi use jo tumhare saanso me basata hai,
jis ka naam lekar dhadakta hai tumhara dil,
jise tum jitna bhulna chahti ho,
wo tumhe utna hi yaad aata hai.!!

Is liye maan lo meri baat 
na karo kabhi kisi se pyaar!! 

kyun ki

Pyaar karna jitna asaan hai usse bhulna utna hi mushkil hota hai

                                
                                                                  Pinky

DIL THOD DIYA TERE PYAAR NE.



Khene ke liye hum do jism ek jaan hai hum,
Koi kya kare agar jaan hi jaan pe shaq kare'
Jis waffa se humne ,
Apna sub kuch  unhe maan liya,
Aadat ho gayi unhe humare har ruh pe sawal karne ki!!!

                                                       PINKY PRZ

PYAAR HAI YA SAAZA !!!



Chah kar bhi bhul nahi pa rahi tumhe,
Jitna bhulne ki koshish karti hun ,
Utna hi tum mujhe yaad aate ho ,
Shayad yahi saaza hai meri,
Tumhe chahne ki
Bhale aap humme bhul jaye par,
Hum aapko na bhul payenge...........

                                                                                      PINKY PRZ